Aaj is dil ki ichaayon ka aaghaaz hua
Rehti nahi zameen pe is baat ka ehsaas hua
Dua kabool ho jo hamari jab upar wale ke darbaar me
Tab jaane ye duniya saari
Hamari koshish bhi hai jaari
Aasan nahi apni pehchaan banana iss muh bole samaj me
Par khona nahi hai ek dhundli si haar me
Manzil hai aage, rasta dhundna hai
Mushkilo ke aage bilkul nahi jhukna hai
Gaye wo din
Jab sar jhuka ke
Sirf aashirwaad milte the
Ab toh zamana hai
Jahan log sar ke saath saath
Insaan ko bhi jhuka dete hain
Mayusiyat dekh ke hasta ye zamana hai
Ek muskan ke saath aage hume hi badna hai
Samay nahi logo ki baato pe afsos karne ka
Waqt hai ab upar uthne ka, aage badne ka
Apni pehchaan banane ka
Apni parchai is duniya pe chod jaane ka!!
Commenti