Gum chupaye dil me Hooto par muskaan liye Tanha safar teh kar Chali ja rahi ek nadan ladki
Kehna chahti hai bahut kuch Kahe jaye na ek lafz bhi Tut rahi andar hi andar Dikhaye na shikast bhi
Kehti hai duniya Diye tune use dukh bade Jane na ek baat magar Aansu bahey bhi idhar
Dimag ki katputali Dil ki daastan Sune na, Jaane na
Kehti hai sabse Pyaar maine bhi kiya Kisine jana na, Maana na
Jab jab taane kaste Uske dost kaano par Tab tab has kar kehti Kaho tab, jaano jab
Jhuta hai zamana Kehta hai ki uske saath hai Do shabd tak na samjhe Aisa ye sansaar hai
Royi wo nadaan Magar sambhali bhi khud hai Is dharti pe Liya jabse janam hai
Kehti hai, aage badhungi main Darti nahi ab zamane se Milungi sabse ek nayi himmat juta kar Karungi naam zamane me. .
Comments